Saturday, May 03, 2008

Just Me...


No lonely road i walk...
Not my imprints alone in the sand...
The one i left long time ago...
Still walks wid me hand in hand...
to take me a way ahead
of where my heart still meanders
memories who knew me then
know much about me to slander...

If only I realize...
no dusk can ever know...
the spirit of a silent sea...
could drift away the canoe

and with the dawn...
born a life with a new spree...
set ablaze its wings...
away flies the bird of memory...

And under the open sky...
a new wave rises,a new chill runs..,
i have lost no hope
one day i shall see the sun..!

Above the ocean of tears...
the rising sun shall embrace
When your eyes shall meet mine
that will be gods grace...

Friday, May 02, 2008

JUIT ke 7 Rang...


Welcome (*Ragging)

Select hoke aaye JUIT mein, engineering padhne mein hai shaan apni,
Baadlon se milte is college mein, aake bas gayi jaan apni...
Unche pahaado se nazarein mili jab, udaan bahut unchi bhar rahe the...
Hamari pehchaan ki khabar lene, seniors intezaar kar rahein the...
Aakar gire zameen par, kuch ko yaad aaya gaana bajana...
Kuch ko yaad aaya naach nachana, aur kuch ko naare lagana...
Seniors ko harpal wish karke, jab aayi akkal apni thikane...
Aa gayi hamari shaan mein party, aao karlo dosti freshers ke bahanae...

Exams



Padhne ka apna josh hai, bahuto ne chakkar teacharo ke kaatein...
Din bhar class lagakar bhi, raat mein toh karni yahoo pe baatien,
Minors jab aate hai sar par, din mein aati neend lut gaya raaton ka karaar...
2 din mein ho jaate hai 6 paper, aisa tha yahan ka time -table yaar...
Mess bhi dikhti thi khaali aur cafe ka haal mat poocho,
100 panne mugne ko uspar foreign authors se jujho...
Mass bunk kari toh pahuche seedhe office, attendence ke bhi nakhre kitne...
Yeh hai college ki padhai, toot gaye the dekhe sapne jitne...


Love



Aur Fir ek aaya sama, jab lage saara jahan apna...
Pyaar ke bhawar mein kho gaye, tab laga College ghar apna
Subah se shaam beet jaatein mughal garden mein,
aur mall road par pahucte tehelne ke liye,Fir bhi dil na bhare to,
Library khuli hai saath baithne ke liye
Kahan rahe practical aur kaha rahe padhai ka hosh...
Jab mil jaaye doston mein ek special Dost...



Snowfall



Kitni pareekshain deni hogi humein..
Lo aa gayi sardiyan aazmane humein..
Heater blower chalane ki ijazat nahi...
Bhala itni sardi mein padhta hai koi...?
Jab aayi January toh snowfall hui...
Mano ek alag hi rang nazar aaya..
Nikal padhe sab Shimla-Kufri,
aise kisi jannat ka nazara aaya...

Fest



Ek Tyohar hai jo sirf hai apna..
Lagta hai jaise sach ho gaya koi sapna..
Kitne dance kitne drama, kitni bajti hai taliyan,
Aur kya ho nazara jab pehene JUIT ki ladkiyan saariyan.
DJ ka bhi apna andaaz, jab security humein naach nachaye
jab ho dayi taraf ladkiya, aur ladke jaaye bayen.
Aur fest ka akhri din jab aaye, tab dekho apna ka tashan,
JUIT ka band bajaaye Euphoria, Asma aur Indian Ocean.

Placement



Aur ek yeh bhi hai manzar, jiski humein thi talaash..
Isi din ke intezaar mein, hum the ghar se nikle,
Fir laut ke aaya mausam, third year mein placements ka,
Jab hum baithe C, C++, DBMS sikhne...
Ek aur tha imthihan, jaana tha college se duur,
Sehme hue the saare, toot gaya tha guroor.
Jeet kar laute jab, toh garv se mila diya,
Pehli naukari ki talaash ne, Zindagi ka sabak sikha diya.

Farewell



Aise na tumhe kabie dekha tha, Aisa na kabhie socha tha...
Chandani raat mein iss tarah, kabhie chamakte na dekha tha,
Kitni Suhani tumhari baat hai ki akhir mohabbat ho gayi...
Aur kaisi hai bebasi apni, ki ab jaane ki baari aa gayi.
Yeh jo akhri rang hai, ankhon mein ansu jaisa chubh raha,
Baaki rangon ki holi toh khel chuke, yeh rang humse nahi saha ja raha...
Humse Kyun kisi ko ALVIDA nahi kaha ja raha...
Humse kyun kisi ko ALVIDA nahi kaha ja raha...

Monday, December 04, 2006

Who I used to be hates who I am...



Could I correct the wrong ….
do I know I care….
Though each day passes…
the past still glare….
Forgive or Forget….
that I cannot do….
Sorrows in time…
could the future undo….
A lost happiness…
that I cant ever find….
Darkness prevails…
my eyes go blind….
Alone surmounting…
the feelings of Past….
Can’t face the sun…
fear the shadows that I may cast…
Running away …
far away from my Sham…
Who I used to be…
hates who I am……………





Tuesday, October 17, 2006

BLUES.....


Once u had the chance,
Chances that came and went…
To touch a heart that beats so sublime,
To reckon simply a moment;
A moment that could be so divine….
But u simply tunneled through….
A torrent of pain that you left behind….
In a blood that runs so blue…!

A voice that echoes,
Ignorant that it is trapped….
In a locked chamber,
Behold the keys are with u….
A mixture of feelings,
My heart feels so packed….
Sinking in the blood,
A blood that runs so blue….

Yes once you were here,
And added a new dimension…
Abode of the feelings and care…
And of love we built our mansion…
Words on the walls still dazzle me,
the ones etched by u….
What’s lost is the meaning ,
Appears an illusion….
Surrounding the blood , a blood that runs so blue….

No I am not lost ,
Memories guide and the stars forsee….
On the road, where I disowned,
And Lost my heart to you ….
For now its pouring ,
Only the tide rises everytime,
to soar into a realm so blue….

Friday, September 29, 2006

Who am I .. !



Your Past life may go away...
Don't consider them wise whatever they may say...
Mistakes and Ill choices that u make...
In this life U must pay....

For I shiver at the very thought...
The deeds that were poorly committed...
Such is my end I never sought...
Such an extent a lesson must be taught...

I've learned my lessons...
I've paid my dues...
Who I have become...
Humbly declares..."I loose"...

So that every time I now turn around...
The murky bottom no more mocks at me...
I have withered in Darkness...
Does LIGHT hold the key...?

Thursday, July 13, 2006

Yeh Ghazalein.........

Uthi Jo Dil main ek aah,
Mere jazbo ke gawaah yeh Ghazalein,
Kitni tamanna se likhi maine,
Tumse milne ki chaah ghazalein,
Kabhi mere aansu pochti,
Kabhi deti sallah ghazalein,
Zamaane ki nafrat aur berookhi se,
Mujhe dilati panaah Ghazalein,
Tumhari godh main ho sar mera,
Hai aisi lamho ki chaaz ghazalein,

Dilaayengi maqaam yeh mera.....Yah fir karenge mujhe Tabaah
yeh GAZALEIN

Tuesday, April 04, 2006

Sun Jaa re Bandeh....


Rok doon iss jahan ko,
agar bas chale mera,
Aur rok doon iss shaam ko,
Kabhi naa ane doon woh savera.

Ae hawa tujhe nahi azaadi,
aur nahi meri ijazat,
Beh jaaye na yeh ruhaani khushboo,
Kuch aise hai unki aahat.

Awaaz tera ho gar wajood,
toh hoga sirf mere kaano se,
Meethi koel ki taan thi aati,
Chandan se lab ke pyaalo se.

Tham jaa ae sama,
Ki aaj main unke saath nahi,
Beetay huye lamho main jee lungi,
Birhai ka mujhe ehsaas nahi.

Tera aaj main nahi agar,
Mukaddaro se yeh elaan hai,
Jahan-e-gumnaam tum yaad rakhna,
Maathe pe likha sirf tera naam hai.